Tuesday, 19 March 2013

Mainu chad k na ja soniye

mera dil kahe pukar ke.

tu mere rab wargi .

mai mirze sa ban baitha dil haar ke ..


tere liye mai sagar bhar laaoun jholi me

tu kahe to karu ikraar e mohhobat chad kutub minaar pe.


ashqo me teri parchai..

dil me phirte leke tasveer yaar ki .

tu na ja mainu chad k soniye..

kasam tujhe pyar ki ...


teri raah mai takhta so gya ..

khwaab me dekha tu chali gyi .

aankhen  khuli to saansen mili nhi

dhadkan thi jo dur kahin

to dil ne b humse baat na ki..


maine kaha musafiro se ..

jab dhadkan ka sath choot gya

mera dil-mehmaan mujhse rooth gya ..

beech raste meri kabar bna do yahin

meri nhi jo mohhobat ki khatir jahan

se vo gye the us raah pe 2 gaj j de do zameen.


agar vo phir gujre yahan se

to kehna mirza is duniya ka nhi..

   kehta hai kamal  kavi..

khush rhe tu jahan bhi

aasma me ja baitha ab har dil tujhe yaad karega

badal ka palang mila hai neele aasma ki chadar.

ab har dil tujhe yaad krega ..

ek baar phir neele aasma  me

ek prem kahani ka ishtehaar lagega.



written by : kamal deshwal











 

Tuesday, 12 March 2013

Mere dil me aise kyu chipi baithi hai .

laakh kheencha bahar .

vo na nikal k deti hai

jab ishq e -ijhaar ko kehte hai

to kehti hai ki pyaar nhi .

dekhi hai mohhobat humne bhi

dekhe hai dildaar bhot

par na dekha aisa rang kahin..


yun haal na behal kar ..ab to dil ki baat tu kar.

yahan har deewar me teri chaya nazar aati hai

har darakht  me teri kaya nazar aati hai

jo yun hi rha kuch or pal

hume aagra me dekhegi ye duniya kal.

tajmahal me nhi ..

aashiqo ka adda to ek aur hai  wahin..

log usse pagal khana kehte hai .

lekin sabhi aashiq wahin mehfil jamate hai.


waqt se ladta hun tere liye..

kuch or mohlat jo mil jaaye waqt se

 ye waqt badlne k liye.


tujhe aankhon me basaya hai .

aansun banke na yun bahar aana

tere dil me jo hai vo byan kar de

nafrat bhi hai to na chupana..


meri mohlat e- waqt jyada nhi hai.

ye deewana poora hai ..

ye deewana aadha nhi hai..

or deewane jo de juban kahin to usse poori karte hai

waqt se bhi juban hai meri..

lamho ko yun bewaqt jahir karte nhi hai.




written by : kamal deshwal











 
 



tere darr pe yun jhuk gye is kadar ..
 
jo  khuda b na jhuka saka..
 
tere isq me mar mite aise ..
 
jo koi or chehra na kar saka
 
 
ruksat kiya har gum ko us chorahe se .
 
jahan se tere ghr ki raah nikalti thi
 
bhool aaye har gile shikwe wahan ..
 
jahan tere kadmo ki mitti thi
 
gale lga leta hun us ore se aati un hwao ko bhi ..
 
jo tujhe choo k nikalti thi.


teri treef me kehne ko kuch hai ..

par tu kehne b nhi deti..

meri nazar se tum subah ki doop ho .

to kabhi aasma ka roop ho..

chaav ho dopahar ki..

sukhe me ghta ka swaroop ho.


tujhme  shararat bhi hai

tujhe leke bani kahawat b hai

tere rang roop ko mai kya naam dun

lage jaise dhalte din ko ek nyi shyam dun.

tu khud me ek noor hai trasha  hua khuda ka

tera koi nhi saani jag me ye labz teri treef me aise ..

jaise sagar ko paani ki  2 boond dun..



written by : kamal deshwal

 

Kya Pta Tha

Kya pta tha tumhare humare Bech ka fasila kuch khagaj k tukde kr jayege... Tum aaj iss kagaj k tukde se Amir ho jaoge aur hum tumhe Kho ...