Sunday 5 January 2014

KOI POOCHE MATWALA MANN CHAHE KYA

Koi pooche matwala Mann chahe kya ...
 kad iska hai nahi par udna chahe yaha .
Kahin umadata shehar ki chakachond Me..
 Kahin jamta ret sa  waqt ki kondh se..

Is Mann se na poocho kya manage Ye .
Ye to aflatoon hai ..
Kabhi Thoda sirphira ..
Kabhi Thoda junoon hai..
kabhi churaye rang titlion ka
kabhi udde ban prinda naadaan.

Barso se phirta hai Mann Mera banke sayana ..
 par badalti jindgi ne badala mazar ..
badla Lamha aane wala ..
Par Mann to Mann hai Kabhi sayana Kabhi deewana .

Ek chor Hai baitha Isme chupke .
Kehta hai kuch Ruk Ruk k..
To Kahin bana saral or  Aasan.

kahin kathinayi ka khada kiya jahan  
Kya kehna chahe Ye Kabhi khud se anjaan ..


khus rehta hai choti choti baton pe..
jaga rehta hai kuch akeli raaton me .
poocho is mann se kuch to jawab de .
yuhin muskraye mujhe asmanjas me dekh ke.




writeen by : kamal deep deshwal

Kya Pta Tha

Kya pta tha tumhare humare Bech ka fasila kuch khagaj k tukde kr jayege... Tum aaj iss kagaj k tukde se Amir ho jaoge aur hum tumhe Kho ...