Saturday 16 February 2013

20 days of love in january

Jindgi to sab jeete hai ..hum b jeete chale jaayenge ..

par vo 20 din na kabhi laut k aayenge .

tu jo gyi chod k ruksat kiye saare khwab .. bekhudi me roya dil saari raat..labz me jo bayan kar sakta vo lamha ..

teri baatein teri yaadein ...to suna deta har kisi ko in lamho ka karwan .

1 january ko maine facebook pe baat ki thi...soye nhi sari raat ki thi..

2 january ko tumne dil k darwaje pe dastak di thi..


4 january ko phir se baat hui...dil me mere, unke kreeb jaane ki aas hui..


6 r 7 january ko waqt badla or baatein gehra gyi..

saansein kam thi khwab jyada ..har dhadkan pe tum chaa gyi ..


8 ko dono k dil ki mulakaat hui thi..

kuch kaha nhi ek dusre ko ..phir bhi dil hi dil se baat hui thi.


9 r 10 ko hum ek dusre se

har pal jude rhe , facebook se

whats app tak ki duri tai ki ..ek dusre ka number maang k


11 ko milne ki dil me khawaish  hui..

darr bhi tha kahin  is dil me usi din se ..ki kahin tu meri na  hui ..


12 ko mai delhi phuncha aankhon me chamak thi  . dil me khwaab

 samjh nhi aarha tha jo taqdeer badal gyi hai kaise apne aap.

dil hi dil me tujhe apna bnaya .. palko pe bithaya ,

sanson me chipaya ..


13-14 ko jindgi ne raftaar badhayi ... or jo na soch tha vo khabar sunai ..

mai muskuraya khuda ko dekh k ..dekhi khuda ki khudayi


15- ko phir se tumne ph kiya or kaha ki karlo aankhen num..

vo khwab poora nhi hoga .. jisme jee rhe hai hum..


17 ko jindgi ne mod lia pal bhar ka

   18 ko hum mile cafe coffe pe .

maine to mana tujhe sathi jeven ka .


19 ko tumne sath chod diya ..

lga jaise dhadkan ne saanson se rishta tod diya ..

20 ko mai vo shehar chod aaya .

jahan jise apna samjha usse hi hogya praya .


ye 20 din jindgi k jo tere sang jeeya

kabhi bhool nhi paaounga .

mana ki tumhe apna na kar saka ..

par kuch pal k liye hi sahi .. tere dil me ek kona dhund lia.

mujhe ehsaas hai ki maine ek besh keemti insaan kho diya

khusnseeb the hum bhot, aisa lagta hai jaise ab to taqdeer ne muh mod lia ...




writeen by: kamal deshwal


















 

Wednesday 6 February 2013

mujhe maaf karna e-dil

Mujhe maaf karna e-dil

mujhe unse mohhobat hogyi..

socha na ek pal bhi tere baare me

 kaise ye gustaq harkat hogyi

vo to the hi befikar

mujhe anjane me ye shirkat hogyi...

mujhe maaf karna e-dil

mujhe unse mohhobat hogyi 


sabab to milta tha mohoobat ka

par na socha tha ki milega is kadar

thukrayenge vo hume

or hum phirenge use uski talash me dar badar...


usne socha ki muskurate hai hum

unse dur hone ka hume koi gam nhi

dekha nhi kabhi in aankhon me

uski yaad me ye aankhen humesha nam rhi..


beetein lamhe mai yun badal nhi sakta

toote dil ko yun leke sath chal nhi sakta

leke baitha  hun laakh sawaal mai

par khoye hue dil me unka hal nhi milta


ek pal me jeeti hui baazi

gya mai haar

milte milte reh gya mujhe

e-dil mujhe aaf karde yaar

teri ye halat na hoti jo

na baitha hota tujhe haar...



written by: kamal deshwal


 

Kya Pta Tha

Kya pta tha tumhare humare Bech ka fasila kuch khagaj k tukde kr jayege... Tum aaj iss kagaj k tukde se Amir ho jaoge aur hum tumhe Kho ...