Tuesday, 3 July 2012

pankh nhi hai to kya aasma ka khawaab chod de..

udna nahi jante to kya aasma ki or dekhna b chod de..

jindgi meri hai ye .tum to ek pal me keh doge sashas chod de...

jis trah dil ki gehraiyon me utarne k liye pyar ki jarurat hoti hai..

aasma ko chhone k liye pankh ki nahi khawaab ki jarurat hoti hai..

janzir se bandhe hai mere paer nahi to uchal k chand tod lata ..

ruka hun kudrat k kehne pe nahi to sagar ko b jholi me bhar lata..

maine chaha hai aasma ko dil se

dil karta hai ise apni bahaon me bhar choom loon

mujh jaise parinde ke liye to ye shehar chota hai

dil karta hai pal me duniya ghoom loon

sab samajhte hai ki mai naadan hun..

aasman ki unchaaiyon se anjaan hun...

vo nhi samjhte meri deewangi is neele Gagan se

ek mauka mile bas use choone ka to mai bina soche uske liye jaan lga dun..

jameen me to har koi bas jata hai ek din...

mai to is aasma me apna basera chahta hun...



written by :- k.d






No comments:

Post a Comment

Kya Pta Tha

Kya pta tha tumhare humare Bech ka fasila kuch khagaj k tukde kr jayege... Tum aaj iss kagaj k tukde se Amir ho jaoge aur hum tumhe Kho ...