Saturday, 20 April 2013

Mai bhag rha hun.....

2 jahan ke beech me

ek dharti hai kadmo tale

ek aasma ke beech me


tatol rha hun har ek kona

chipne ki firak me aaj or kal

dil bhi yahan toota dhadkan se nata toota

badal rha hai tassavur jindgi ka

ab to e -jindgi tu bhi badal.


pis rha hun in 2 jahano ke beech har pal

hunkaar meri sune to koi ..

kabhi se aasma ka rang hai neela

dharti ko bhi kiya mere aansuo ne geela .

koi inka bhi de rang badal .


dekhi hai tanhai aasma ne meri

mukuraye hai mujpe iske baadal

koi b to de rang badal

neela rang ab chubhta aankhon me

insaan ki jindgi ki trah kyu na badle

aasma ka rang bhi har pal , har kal


intejaar na karta ye musafir khaada aasma ke neeche

isse to hai jeena har pal har kal

phir chahe mile jindgi saal 100

ya maut seene se lgaye kal


dubara milegi phir jindgi hum rakhte aas nhi

ek jindgi hi jeeyenge poori ..

jo na saka jee ek jindgi

jo kyu maange ek or aisi hi aadhi adhoori



written by: kamal
deshwal








 

No comments:

Post a Comment

Kya Pta Tha

Kya pta tha tumhare humare Bech ka fasila kuch khagaj k tukde kr jayege... Tum aaj iss kagaj k tukde se Amir ho jaoge aur hum tumhe Kho ...