Wednesday 6 February 2013

mujhe maaf karna e-dil

Mujhe maaf karna e-dil

mujhe unse mohhobat hogyi..

socha na ek pal bhi tere baare me

 kaise ye gustaq harkat hogyi

vo to the hi befikar

mujhe anjane me ye shirkat hogyi...

mujhe maaf karna e-dil

mujhe unse mohhobat hogyi 


sabab to milta tha mohoobat ka

par na socha tha ki milega is kadar

thukrayenge vo hume

or hum phirenge use uski talash me dar badar...


usne socha ki muskurate hai hum

unse dur hone ka hume koi gam nhi

dekha nhi kabhi in aankhon me

uski yaad me ye aankhen humesha nam rhi..


beetein lamhe mai yun badal nhi sakta

toote dil ko yun leke sath chal nhi sakta

leke baitha  hun laakh sawaal mai

par khoye hue dil me unka hal nhi milta


ek pal me jeeti hui baazi

gya mai haar

milte milte reh gya mujhe

e-dil mujhe aaf karde yaar

teri ye halat na hoti jo

na baitha hota tujhe haar...



written by: kamal deshwal


 

No comments:

Post a Comment

Kya Pta Tha

Kya pta tha tumhare humare Bech ka fasila kuch khagaj k tukde kr jayege... Tum aaj iss kagaj k tukde se Amir ho jaoge aur hum tumhe Kho ...