Tuesday 5 June 2012

khwaab mere



aajkal mere dil me ajeeb khyaal aate hai..

unhe lakh samjhne ki koshish hoti hai..

phir b ansuljhe sawaal dil me reh jaate hai...

ghoomta hun dar badar.....

duniya nhi samjhgi intezaar hai manzil ka kis kadar,,

un rahon pe jahan pe un sapno ka saya nazar aata hai..

naa dhoop samajh aati hai na chaya ka intezaar rehta hai..

nadiyon b paar ki hain..pahado par bhi chadha hun...

tum kya janoge..kis kadar mai tezz hawaon se b lada hun...

duriyaan to hoti hi hain mitt  jane k liye,

or manzile to bani hi hai paane k liye....

khwaabo ko hi maine to apni manzil samjha hai..

par kahan chipe hai vo, ye swaal aaj bhi uljha hai...

koi to bta de ae gujre lamho..

kab tak uhin rehna hai..

kyuki raat kab tak rukegi..sawera  to phir b hona hai...


written by:- K.D, P.K






No comments:

Post a Comment

Kya Pta Tha

Kya pta tha tumhare humare Bech ka fasila kuch khagaj k tukde kr jayege... Tum aaj iss kagaj k tukde se Amir ho jaoge aur hum tumhe Kho ...