Thursday 27 September 2012


mujhe na jaane kya gum hai .


khud ki nazro se 

khud me kuch  kam hai..

icha bhi hai hajaro.. 

chahte bhi hai

par phir bhi aankhen num hai...

mujhe na jaane kya gum hai...


udna chahta hun                                                

khule aasma me panchiyon ki trah .

khwab bhi dekhta hun

 mehtavkaanshiyon ki trah..

par phir bhi aankhen num hai ..

mujhe na jaane kya gum hai..


kuch shi nahi lagta ..

jaane anjane me pta nhi

 kya galat mai karta..

rehta tanhayi ke bistar par..

dil andhero me khoye khwab hai khojta...

mujhe na jaane kya gum hai ...

jaane kyu meri aankhen num hai....



written by : k.d

No comments:

Post a Comment

Kya Pta Tha

Kya pta tha tumhare humare Bech ka fasila kuch khagaj k tukde kr jayege... Tum aaj iss kagaj k tukde se Amir ho jaoge aur hum tumhe Kho ...