Thursday 20 September 2012

ye vo lamhe nhi jo gujar jaayenge..

ye kitabo k panne nhi jo palat jaayenge...

ye to sarai hai musafiro k liye..


aaj tum ruke ho yahan ..

kal ye peeche choot jaayenge..


yaadein dil me basi hongi ..

or lab apne aap muskurayenge .

par na bhulna vo waqt apna.

kyunki ye lamhe  hi kabhi kabhi

aansoun ki raah bhi ban jaayenge...



tufan ki trah uth uth ke aayenge .

dil laakh soche dur rehne ki ..

par is tufan se na bach paayenge .

ye vo lamhe nhi jo gujar jaayenge..

yaad ayenge har lamha ..

neend  bhi na aayegi..

yahi tera aaj yahi tera kal batyenge ..


khwaab hai aaj yahan..

kal ye bhi toot jaayenge..

aasuon se bani hai jindgi..

har gum har khushi me sirf yahi sath nibhayenge


written by : k.d

No comments:

Post a Comment

Kya Pta Tha

Kya pta tha tumhare humare Bech ka fasila kuch khagaj k tukde kr jayege... Tum aaj iss kagaj k tukde se Amir ho jaoge aur hum tumhe Kho ...